Tuesday, July 9, 2013

NAMKEEN HAI PAR- MEETHA HAI


Us din ki subha hi kuch alag thi. Saniwar tha... bahut hi khubsurat din. Octuber ka mahina tha jiski baat hi kuch nirali hai. Mausam halki halki thand lapete firta hai. Peedon se patte tut ke hawa mein aise chale aate hain jaise panchii( birds) hawa ko cheerte huve apna rasta bana rahe ho. Ajeeb eetafaq hai kitne saal beet gaye lekin muje aaj bi yaad hai ki jab meine usse pehli baar dekha tha to usne neele rang ka salwar kameez pehen rakha tha. Woh mere bhai ki birthday party mein aayi thi. Usse dekhte hi muje ehsaas ho gaya muje mohabbat hone wali hai and mano barosa bi ho gaya background mein music bi mohabbat wala jo tha. Puri party mein main use dekh raha tha and soch raha tha “Kya yahi hai Love at first sight”. Sabhi friends gulmil gaye aur ek dusre se number aur email ID exchange kiye aur meine bi uska email sambala mano jaise sari daulat mil gayi ho. Agle din office gaya to kaam mein jaise mann hi nahi laga. Dus baar usse email likha aur delete kar diya aur phir akhir mein bahut koshish ke baad send kar diya. Us mail mein meine usse ek chai ke cup ke liye pucha tha. Yakin sa tha shayad woh aayegi aur pata nahi kya soch kar par woh aa gayi. Shayad meri nazroon ki eeltijah aur soch ki sachayi usse khich layi ya fir yeh soch ke ki tej raftar se chalti zindagi mein shayad sacha dost mil gaya. Intezaar ki gadiyan kaise beeti woh to pata nahi par shyam ko theek 4:30 jab woh thoda sa gabrayi huvi andar aayi to mein bahut khush tha. Woh aa to gayi par baat kya karein kuch samaj nahi aa raha tha. Mere har sawal ka jawab woh han ya na mein de rahi thi. Meine waiter to bula ke do cup chai mangwayi aur chai banate huve Waiter bola “shaker kitni??”. Meine waiter se kaha “ Shakar nahi Namak laaoo”. Woh dono muje dekhne lage aur woh heyrani se ankheen badi badi karke boli “NAMAK”? Meine kaha “ Hanji, Namak”. Aur phir baat badti gayi, yunhi chalti gayi. Kayi kisse kayi kahaniyan hum ek dusre ko sunate gaye. Us din char ghante kaise beet gaye pata hi nahi chala aur dekhte dekhte shadi ke bi dus saal pata nahi chale. Aisa lagta hai mano kal ki hi baat ho. Mein aaj bi roz office se aake chai mein namak dalke uske hath se peeta hun. Dus saal se mein uske is sawal ko taal raha tha. Woh hamesha mujse puchti “yeh hamesha namak dalke chai peete ho, kabhi shakar bi try kar lo. Vaise pehli baar namak kab liya tha chai ke sath?” Aur aaj dus saal baad meine muskurate huve usse kaha “jab tumse pehli baar mila tha , tumhe baat karne pe majbur jo karna tha. Issi baat ko lekar tumne pehli baar bolna jo shuru kiya tha aur issi namak se meri zindagi mein mithaas jo gola tha. Abhi bi namak daal ke lipton chai peeta hun to atut rishte ki mithas jeeta hun jaise abhi abhi naya pyaar shuru huva ho.

4 comments:

  1. so beautiful :) :)
    such relationships are so beautiful :)

    ReplyDelete
  2. very beautiful.... very well narrated.

    ReplyDelete
  3. Nice thought and beautiful expression Hemange. Keep writing.

    ReplyDelete
  4. This story of love moves me beyond expression...I wonder if it z truth or fiction...whatever, it certainly expressions ur idea of love.May U find it in abundance all around U in all your relationships ! Love and keep writng

    ReplyDelete