Saturday, November 11, 2017

Ek bulbule ki kahani


Kabhi suno meri zaabani, ek bulbule ki kahani...
Boond boond mein chutki bara aasman,
Sapnoo ki duniya, jahaan ke us par,
Sameyte choti si hatheliyoon mein,
woh pura aasaman….

Giri ek Boond, kahin jo ansh par,
Bana bulbula , tyara woh Zameen par,
Kuch der khud nacha, woh Jooma , auron ko bi lubhaya, hasaya..
Upar wale ne usse , kuch nazuk tha banaya,
Dhor apne hath rakhi aur khoob usse nachaya,
Jaise hi dhor khichi, aankheen uski meenchi,
Pani hi tha, Paani mein ja milaya..

Har insaan hai bulbula, jo samjo to janoo,
Likha hai waqt har kissi ka, hai dhor ussi ke hath yeh mano..
Jitna bi hai waqt khushi se beetao..
khud bi haso aur auroon ko bi hasao.. :D